Ali Jee

Abbas Abbas Abbas Abbas
Ae ishq-e-Hussaini Mujhe aejaz dikha de
Tu meri aqeedat ka mujhe aesa sila de
Ek bar mujhe…
Ek bar mujhe khwab me Ghazi se mila de

Jo batein hain is dil me 2x
vo sarkar se kehna hai
Abbas se kehna hai 3x
Alamdar se kehna hai
Abbas se kehna hai

Jo batein hain is dil me 2x
vo sarkar se kehna hai
Abbas se kehna hai
Ghazi Alamdar-e-wafa Ghazi Alamdar 2x

Abbas se kehna hai ke tum shah-e-wafa ho
Tum shah ke Alamdar Sakina ke chacha ho
Ha Sakina ke chacha ho
or sare muhibbon ke liye dast-e-ata ho
Abbas ghulami ki sanad aap se lena hai

Abbas se kehna hai 2x
Alamdar se kehna hai
Abbas se kehna hai
Ghazi Alamdar-e-wafa Ghazi Alamdar 2x

Jo shan-e-Alamdar wahi shan-e-Alam hai
Dono hi hamare hain ye Malik ka karam hai
Ha ye Malik ka karam hai
Mola ye alam apka hum sab ka bharam hai
Humko to alam ke hi sada saye me rehna hai

Abbas se kehna hai 2x
Alamdar se kehna hai
Abbas se kehna hai
Jo batein hain is dil me 2x
vo sarkar se kehna hai
Abbas se kehna hai

Tum bab-e-hawaij ho wasila ho hamara
aata hai muradein liye chokhat pe zamana
Ha chokhat pe zamana
Haa dar se tumhare koi khali nahi jata
Allah se manga hai magar tumne dilana hai

Abbas se kehna hai 2x
Alamdar se kehna hai
Abbas se kehna hai
Ghazi Alamdar-e-wafa Ghazi Alamdar 2x

Gham koi bhi jab dil ko hamare hai satata
jab koi kada waqt kabhi hum pe hai aata
Abbas Abbas
Abbas alam apka himmat hai badhata
Dil toote to toota hua dil tumko bulata hai

Abbas se kehna hai 2x
Alamdar se kehna hai
Abbas se kehna hai
Jo batein hain is dil me 2x
vo sarkar se kehna hai
Abbas se kehna hai

Sani mere sarkar mere murshid-o-Maula
is bar muharram me ho mera bhi bulawa
Ha mera bhi bulawa
Likhwa do mera naam bhi zawwaron me Aaqa
Ro ro ke tumhe noha Sakina ka sunana hai

Abbas se kehna hai 2x
Alamdar se kehna hai
Abbas se kehna hai
Ghazi Alamdar-e-wafa Ghazi Alamdar 2x

jo jo bhi sitam baad-e-alamdar hua hai
sadaat ne pardes me jo zulm saha hai
Ha jo zulm saha hai
Har modh pe Zainab ne yhi roke kaha hai
Is dil pe jo Guzri hai kisi se nhi kehna hai

Abbas se kehna hai 2x
Alamdar se kehna hai
Abbas se kehna hai
Jo batein hain is dil me 2x
vo sarkar se kehna hai
Abbas se kehna hai

Abbas se kehna hai ke ghar aao na Maula
Tum apni ziyarat hme karwao na Maula
Mere ghar aao na Maula 2x
ek tohfa tumhara hai vo le jao na Maula
Pani se bhari mashk-e-Sakina tumhe dena hai

Abbas se kehna hai 2x
Alamdar se kehna hai
Abbas se kehna hai 2x

Abbas mere Rab ka anmol wasila hai
Mashhoor zamane mein Saqqa-e-Sakina hai
Har toote hue dil ka Abbas wasila hai
Abbas wasila hai
Ye baab-e-hawaij hai
Har gham ka madawa hai
Har lab ka wazifa hai
Har dil me dhadakta hai
Girton ko uthata hai
Doobo to bachata hai
Taqdeer jagata hai
Kismat ko sajata hai
Abbas se kehna hai 2x

Abbas se kehna hai
Hasnain ka sadqa do, Abbas se kehna hai
Jholi ko meri bhar do, Abbas se kehna hai
Mushkil meri hal kardo, Abbas se kehna hai
Parcham ki hawa dedo, Abbas se kehna hai
Roze pe bula bhejo
Zawwari ata krdo
Maula ye karam krdo………

Mujhe Abbas se kehna hai, Abbas se kehna hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *