Bano Ka Tha Yeh Bayaan

Noha

Bano ka tha yeh bayan,
Sheerin main, Bano nahin
Tera galat hai guman,

Sheerin main, Bano nahin
Poochti hai jisko tu,
Hai who Ali ki Bahu
Qaid mein Bano Kahan,
Sheerin main, Bano nahin

Unke Pisar hain Imaam,
Jinka hai Sajjad naam
Mera pisar Saarba,
Sheerin main, Bano nahin

Maine suna hai yeh haal,
Goad mein hain unke laal
Mera pisar hai kahan,
Sheerin main, Bano nahin

Meri dua hai yehi,
Bibi suhagan rahe,
Raand hoon main khastajaan,
Sheerin main, Bano nahin

Bano ka tha yeh bayan,
Sheerin main, Bano nahin
Tera galat hai guman,
Sheerin main, Bano nahin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *