Noha

Zamane may koi ho nafse Payghambar to hum jaane
Ali ki baat kya holay koi qambar to hum jaane

hai daawa jaanisari ka bahot islam walon ko
dikhaye rahe haq deke apna sar to hum jaane
zamane may koi ho….

baghair e hubbe Hyder jo nabi ke ishq may doobe
nikal kar hum ko dikhlaye labe kausar to hum jaane
zamane may koi ho….

hai pehra alqama par aaj tak Abbas e ghazi ka
zara koi parinda maar to le par to hum jaane
zamane may koi ho….

pahado ke bhi hil jaate hai dil name Ali sunkar
kisi ke naam par hil jaye kankar to hum jaane
zamane may koi ho….

kaha karti thi Zainab hai hamara sher sa Bhai
dikhaye sar se koi cheen kar chadar to hum jaane
zamane may koi ho….

ye Zainab ka kaleja tha ye Zainab hi ki himmat thi
galay par Bhai ke dekhe koi khanjar to hum jaane
zamane may koi ho….

tu shayar hai Shah e Deen ka tujhe kya khauf hai Mehshar*
farishte aaye tere qabr ke andhar to hum jaane
zamane may koi ho….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *