Noha

Zainab pukariN ai mere Akbar kahaN ho Tum
Dushmam meiN ghir gaya hai Baradar, kahaN ho Tum
Zainab pukariN ai mere Akbar kahaN ho Tum

Aada ka eik hujoom hai maidan mein har taraf
Niklen to kaise khaime se bahar, kahaN ho Tum
Zainab pukariN ai mere Akbar kahaN ho Tum

Khud ko gira ke jhoole se sookhi zaban liye
Jalti zaneen pa tadpa hai Asghar, kahaN ho Tum
Zainab pukariN ai mere Akbar kahaN ho Tum

Bachchon ki cheekh sun ke dahelta hai kaleja
Purhaul karbala ka hai manzar, kahaN ho Tum

Be makhna o chadar hain andheroN ki rida hai
Shimr e laeen ne chhen li chadar, kahaN ho Tum
Zainab pukariN ai mere Akbar kahaN ho Tum

Jinn o Malik mein chaar soo kohraam bapa hai
Chalta hai Shah e Wala pe khanjar, kahaN ho Tum

Kaise hain ummati Mere Nana Rasool ke
HasteN haiN mujhko maar ke patthar, kahaN ho Tum
Zainab pukariN ai mere Akbar kahaN ho Tum

OotoN pa be kajawa bithate haiN ashkiya
Kar ke aseer ham ko sitamgar, kahaN ho Tum

Bhaiyya pinha gaye thay jo Dukhtar ko pyaar se
Chhinte haiN Sakeena ke woh gauhar, kahaN ho Tum
Zainab pukariN ai mere Akbar kahaN ho Tum

Sun lo Khuda ke waaste fariyaad Phupi ki
Aawaaz de rahiN hoon barabar, kahaN ho Tum

Ghazi bhi ja ke so gaya naher e Furath par
Baki bacha na koi bhi rahbar, kahaN ho Tum
Zainab pukariN ai mere Akbar kahaN ho Tum

Hoti hai har eik simt se bas khoon ki baarish
Karbobala ka surkh hai manzar, kahaN ho Tum

NaizoN se jhidkiyo se tamachoN se har ghadi
Hamko sata raheN haiN sitamgar, kahaN ho Tum
Zainab ke bain sunke Raza* ashk rawa haiN

Dil ro raha hai nauha yeh likh kar, kahaN ho Tum
Zainab pukariN ai mere Akbar kahaN ho Tum

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *