Noha

Zainab ki duhayi thi, luti haye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya
Kis oor gaye kaun yeh batlaye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya
Zainab ki duhayi thi, luti haye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya

Akbar se kaho saanj samay aa ke sambhale, dehroN ko bacha le
Hatyare hameN lootne ko aaye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya
Zainab ki duhayi thi, luti haye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya

Bhejo bane Qasim ko, kahan soo gaye ban mein, birha ki lagan mein
Eik raat ki banDri ka jiya jaye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya
Zainab ki duhayi thi, luti haye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya

Godi bhi hai ujadi hui, jhoola bhi hai soona, yeh kasht hai doona
Man Banoo ka kaun aan ke bahlaye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya
Zainab ki duhayi thi, luti haye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya

Dubhar kiye deti hai sabhi kunbe ka jeena,pyaasi hai Sakeena
Chagal abhi Abbas nahi laye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya
Zainab ki duhayi thi, luti haye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya

GirtoN ko bachane ke liye, Naam e Ali ho, Ahmad ke wasi ho
RaandoN ki khabargiri ko kaun aaye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya
Zainab ki duhayi thi, luti haye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya

Dukhiyari ke baynoN se Raza* pha t tha hai seena, aur shaq hai kaleja
Kahti hai Bahan tujko kahan paaye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya
Zainab ki duhayi thi, luti haye re Bhaiyya, Majaye re Bhaiyya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *