Noha

Karbal ki kahani jab koi bhi sunaye ga
Dilwalon ki aakhon se ek darya bahaye ga
Woh qafila Sarwar ka jo shaan se nikla tha

Sughra ko khabar kya thi na laut ke aaiye ga
Zehra Zahera Pursa lo Bahattar Ka

Tooti hai kamar Shah ki ghabra na magar Akbar
Farzand-e-Nabi teiri mayyat ko uthaye ga
Zehra Zahera Akbar ka bhi Pursa lo

Pamaal hua Qaasim jab ghodon ki taapon se
Kis tarah chacha teiri mayyat ko uthaye ga
Zehra Zahera Qasim ka bhi Pursa lo

Tha haaton ke katne ka kuch gham na Dilawar ko
Saidaniyon ka parda ab kaun bachaye ga
Zehra Zahera Abbas ka bhi Pursa lo

Sarwar ne uthaye they sab saathiyon ke laashe
Shabbir tera lasha ab kaun uthaye ga
Zehra Zahera Shabbir ka bhi Pursa lo

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *