Noha

Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se
Rahat e jaan ko chudaya maut ne Shabbir se

Dast e raasha-daar se nawakh to kheech sakta nahi
Kis tarah turbat bane gi Hazrat e Shabbir se
Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se

Laasha bachche ki kaleje se lagaye hain Hussain
Koi kah de ja ke itna Bano e dilgeer se
Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se

Ab na aaye gi nazar soorat kabhi ai Dilgeer*
Tumko milna ho toh mil lo Asghar e Besheer se
Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se

Shama bhi turbat pe aa ke tum jala saktin nahin
Hasraten sab mitengi rahat uthi taqdeer se
Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se

Dafatan ki maut se Shah par asar itna hua
Kheech kar gardan se bole hurmala ke teer se
Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se

Kuch na khaya mere Bachche par taras toone zara
Mujhko ghurbat mein chudaya chand si tasweer se
Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se

Ab bata insaaf se too hi zara itna mujhe
Kya kahon khaime mein jaa kar bano e dilgeer se
Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se

Kah ke yeh nawakh se baithe shah banane ko lahed
aa ke chowkaya kisi ne gham bhari tahreer se
Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se

minnateN kar ke bheja mujhe khat laya hoon main
ho rahi mujhko ziyarat khoob se taqdeer se
Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se

Shama bhi turbat pe aa ke tum jala saktin nahin
Hastaten sab mitengi rahate uthi taqdeer se
Zabah Asghar ho gaye dasht e bala mein teer se

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *