Noha

Yeh Karbala Me Tha Shah Ka Bayan Musalmano
Ham hi haiN sibte Rasool e Zaman, Musalmano
Yeh Karbala me tha Shah ka bayan Musalmano

Hamare jism ki rag rag meiN hai Nabi ka lahoo
Ham unke dil haiN unhi ki zaban, Musalmano
Yeh Karbala me tha Shah ka bayan Musalmano

Agar kaho to Arab se wahan chale jaayeN
Ke jisko kahte haiN Hindustan, Musalmano
Yeh Karbala me tha Shah ka bayan Musalmano

Yeh ham samajhte haiN KhaimoN ko bhi jala do ge
Uthe ga rann ki faza mein duhaN, Musalmano
Yeh Karbala me tha Shah ka bayan Musalmano

Tha jiske husn mein pinha Rasool ka jalwa
Ushi ke dil pa lagaye sina, Musalmaano
Yeh Karbala me tha Shah ka bayan Musalmano

Sina jo khaichi kaleje se mar gaye Akbar
Utha rahaN hooN maiN laash e Jawan, Musalmano
Yeh Karbala me tha Shah ka bayan Musalmano

Hamara noor bhi aakhon ka uske saath gaya
Jo tha Shabi e Rasool e ZamaN, Musalmano
Yeh Karbala me tha Shah ka bayan Musalmano

Khud apni aakh se Mushtaq* Jaa ke dekh chuke
Woh Karbala jo hai baagh e Jinah, Musalmano
Woh Karbala me tha Shah ka bayan Musalmano

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *