Noha

Yeh kahtey the Shah e Ala, Sakina Hum nahin hongey
Satayen ge Thume aada, Sakina Hum nahin hongey

Hume tum dhoondne niklo gi jab Shaam-e-Gareeban mein
Tan e be-sar pada ho ga, Sakina Hum nahin hongey
Yeh kahtey the Shah e Ala, Sakina Hum nahin hongey

Tamachey maar kar gauhar, tumhare chhenay jaayenge
Jab aisa waqt aayega Sakina Hum nahin hongey
Yeh kahtey the Shah e Ala, Sakina Hum nahin hongey

Bhara darbaar ho ga, aur, Tumhara imthiyan lenge
Yazeed e be-haya hoga Sakina Hum nahin hongey
Yeh kahtey the Shah e Ala, Sakina Hum nahin hongey

Bujhane ke liye kaun aayega, bhadkey hue sholay
Jale ga jis ghadi kheyma, Sakina Hum nahin hongey
Yeh kahtey the Shah e Ala, Sakina Hum nahin hongey

Haram ke sar se chheney jaye gi, chadar sar e Maqtal
Yeh zulm e na rava hoga, Sakina Hum nahin hongey
Yeh kahtey the Shah e Ala, Sakina Hum nahin hongey

Koi shikwa nahin karna, agar pani na de aada
Tumhe tadpayen ge pyaasa, Sakina Hum nahin hongey
Yeh kahtey the Shah e Ala, Sakina Hum nahin hongey

Hamari pyaas ke saaye me, Humse ho ke sharminda
Bahe ga hashr tak dariya, Sakina Hum nahin hongey
Yeh kahtey the Shah e Ala, Sakina Hum nahin hongey

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *