Noha

Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai
Ai beta kaleje meiN mere aag lagi hai
Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai

KhaboN meiN sahi, aa ke suna jaao sandesha
Yeh kaisi khatakti hui barchi ki ani hai
Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai

Saaye meiN na baithe gi yeh Lala, Ali Akbar
Mannat yehi Maa tere liye mang rahi hai
Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai

Majboor samajh rakkha hai in faujoN ne Beta
Aa jao ke har eik sitamgaar shaqi hai
Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai

Eid ayi hai aapas mein, gale milte hain hum sarr
Zainab ke liye kaisi musibat ki ghadi hai
Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai

Abbas ko yeh yaad dila do Ali Akbar
Paani ki Sakina ko abhi aas lagi hai
Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai

Dhoola koi banta hai, nazar aate haiN Akbar
Yeh Maa ke liye kaise qayamat ki ghadi hai
Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai

Darrana chala aata hai har eik sitamgar
Itna bhi na yeh samjhe, Dar e Aal e Nabi hai
Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai

Sughra se koi wada kabhi kar ke chale thay
Beemar Bahen raah abhi dekh rahi hai
Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai

Nasir* ye jigar-soz thay Dukhiyari ke naale
Aa jao ke Maa raah abhi dekh rahi hai
Ye sham se Laila ki sada goonj rahi hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *