Noha

Ya rab ye iltemas hai teri janab may
mujhko milaade khake dare bu turab may

haasil nahi misle Ali sab ko martaba
garje baargahe risalat maab may
Ya rab ye iltemas hai teri janab may

noore Ali may noore mohamed may farq kya
hai aaftab hai ke deha mahtaab may
Ya rab ye iltemas hai teri janab may

jhoole may keh rahe thay tewar sagheer ke
zinda rahe to dekhna ahde shabab may
Ya rab ye iltemas hai teri janab may

jo ran may beh gaya Qasim ke jisme paak se
wo khoon aagaya hai simat kar gulab may
Ya rab ye iltemas hai teri janab may

ek teer to nikal gaya Asghar ke halq se
paywast ek teer hai qalbe rabab may
Ya rab ye iltemas hai teri janab may

ahle haram ke pyas may shiddat thi is khadar
itni tapish na hogi kabhi aaftab may
Ya rab ye iltemas hai teri janab may

Zehra ke ghar ko yaad kare roye zaar zaar
jiska tabaah ghar ho kisi inquilaab may
Ya rab ye iltemas hai teri janab may

bas wo fishare qabr se Mehshar* bachayega
jisne shagaaf daal diya maahtab may
Ya rab ye iltemas hai teri janab may

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *