Noha

Woh sada takbeer ki woh lehja -e-Akbar kahan
Phir kabhi dekha gaya Ashoor kaa manzar kahan
Woh sada takbeer ki woh lehja -e-Akbar kahan

Khwab-e-Ibrahim ki tabeer thi peshe nazar,
Warna halke Shah kahan or shimr ka khanjar kahan
Woh sada takbeer ki woh lehja -e-Akbar kahan

Waqt-e rukhsat dekhte the jab suhe maqtal Hussain
HasrateN kehtin thiN Maula ab koi Yaawar kahan
Woh sada takbeer ki woh lehja -e-Akbar kahan

Chadh ke naize ki bulandi par kiyaa aelaan e haq,
Hai Khateeb aisa kahan is shaan sa mimber kahan
Woh sada takbeer ki woh lehja -e-Akbar kahan

Bekasi kahti thi Zainab se dayar e shaam me,
Yeh dayar e shaam hai Zainab yaha chadar kahan
Woh sada takbeer ki woh lehja -e-Akbar kahan

Nusrate Islam me jhule ki duniyaa chod di,
Paaegi Besheer ko ab ghamzada Madar kahan
Woh sada takbeer ki woh lehja -e-Akbar kahan

Aaj ki shab dekh lo ji bhar ke Zainab dekh lo,
Phir yeh deedar e shabi e Husn e Paighambar kahan
Woh sada takbeer ki woh lehja -e-Akbar kahan

Har kadam par aayat e tatheer parda ban gayi,
Berida balweh mein hain namuseh Paighambar kahan
Woh sada takbeer ki woh lehja -e-Akbar kahan

Hai Gham E Shabbir Ka Maikash* Ye Zinda Mojiza
Koi Gham Is Gham Ki Soorat Ek Haalat Par Kaha’n
Woh sada takbeer ki woh lehja -e-Akbar kahan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *