Noha

Woh jo hai sawanahe Murtaza*, tumheiN yaad ho ke na yaad ho
Hamein yaad sab hai zara zara, tumheiN yaad ho ke na yaad ho

Hui jab wiladate Murtaza*, to jidaare Kaba meiN darr bana
Hamein yaad yeh bhi hai mojeza, tumheiN yaad ho ke na yaad ho

Jo yateemo miskiN ko di gaiiN, sare a rsh pahoNchiN woh rotiyaaN
Woh nuzoole surae Hal -Ata, tumheiN yaad ho ke na yaad ho

jo Ali* mileiN to nabi* mileiN, jo Nabi* mileiN to Khuda mile
Yeh hai eik Noor ka silsila, tumheiN yaad ho ke na yaad ho

Wohi rahzane rahe deeN bana, wohi khulq e sha r’e matiiN bana
Padha jisne Kalma naya naya, tumheiN yaad ho ke na yaad ho

Paey tahniyat kisi lab pa tha, laka ya Ali*, laka ya Ali*
Ye Ghadire Khum ka hai waqeya, tumheiN yaad ho ke na yaad ho

Hai talaashe noor agar tumheiN, chale aao baabe Ali* tal ak
HameiN khoob yaad hai raasta, tumheiN yaad ho ke na yaad ho

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *