Noha

Wa Hussain-e-Imaam, Noor-e-do-aine Imaam
Mohammad ke nawase par durood-o-Salaam

Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen,

Saleeb par dil -e-Eisa, Ali Ali bolen,
Kaleja pooch le duniya, Ali Ali bolen,
Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen

Murraqqa khaich le yeh hikmat -e-qalam to nahi
Jihad e Aun-o-Mohammad kise se kam to nahi
Har ek tegh ka qabza, Ali Ali bolen
Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen

Itat e Naad-e-Ali har taraf kiye hain Rasool
Alam ko deen ke Khaibar me yun liye hain Rasool
Alam ka udta pharera, Ali Ali bolen
Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen

Fazilat-e-Alawi ki diye jalaye huey
Falak se utra hai apni jabeen jhukaye huey
Dar-e-Ali par Sitara, Ali Ali bolen
Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen

Ladaye Hazrat-e-Abbas ki, Khuda ki panaah
Woh khoon hai sar-e-saahil ke kaapti hai nigaah
Lahoo mein doobta naiza, Ali Ali Boley
Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen

Kanara chhod diya khauf kha ke dariya ne
Ajeeb shaan se hamla kiya hai saqqa ne
Alam kaaNpta panja, Ali Ali boley
Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen

Hilli Hussain ke hamlon se kufr ki buniyaad
Ghuroor-e-kufr ke lab par hai naala -o-fariyaad
Uthaye tegh to duniya, Ali Ali bolen
Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen

Khamooshiyon ki haqueeqat hamari samjhi hai
Bahen Hussain ki Zainab, Ali ki beeti hai
Zabaan khule to lahja, Ali Ali bolen
Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen

Ani to khaich li barchi ki qalb-e-Akbar se
Qadam samhalna mushkil hai rann me Sarwar se
Dhadak Dhadak ke kaleja, Ali Ali bolen
Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen

Rawan hai madham-e-Mahir* qalam ba-faiz e Ali,
Ubal rahe hain mazamine gham ba -faiz e Ali,
Hamare qalb ka dhara, Ali Ali boley
Badha ke Nooh safeena, Ali Ali bolen

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *