Noha

Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai
Tumhe aaj kaise yeh neend aa gayi hai
Jo khaimon meiN barpa qayamat hui hai
Bohut sakth mushkil meiN meri Phuphi hai
Sakina tadap kar sada de rahi hai
Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai

Yeh mukhtal meiN ro ro pukari Sakina
Liye dil mein eik zakhm waari Sakina
Hai karti yahi aah o zaari Sakina
Aziyat bohut hai bohut tashnagi hai
Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai
Sakina tadap kar sada de rahi hai

Sitamgar ne durroN se zakhmi kiya
TamachoN se rukhsaar neela pada hai
Lahoo mere kaano se bhi bah raja hai
Meri zindagi khooN meiN doobi hui hai
Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai
Sakina tadap kar sada de rahi hai

Bihut muntazir hai Madina meiN Sughra
Mera bhai Akbar bane ga jo dhoola
To looN gi balayeN utarooN go sadqu
Udhar dil mein Akbar ke barchi lagi hai
Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai
Sakina tadap kar sada de rahi hai

Na shikwa chacha se Na shikwa hai Rabb se
Main pyaasi hoon Baba, kai roz o shab se
Mazaa kya hai paani k bhooli hooN kab se
Ajab badnaseebi, ajab tashnagi hai
Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai
Sakina tadap kar sada de rahi hai

Bapa ho gaya hai qayamat ka manzar
Badha lootne ke irade se lashkar
Jalaye ga khaimon ko loote ga chadar
Sakina is aafat se ghabra rahi hai
Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai
Sakina tadap kar sada de rahi hai

Adu ki nazar se bachaye gi bahena
Lagaye gi kaajal utare gi sadqa
Yeh kya ho gaya khoon mein dooba hai kurta
Teri rah khaimeN meiN maa dekhti hai
Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai
Sakina tadap kar sada de rahi hai

Hai badli hui aaj chehre ki rangat
Nahi dekhi jaati hai dukhiya ki haalat
Kahan par hai Besheer Asghar ki turbat
Har eik simt ja ja ke Maa dekhti hai
Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai
Sakina tadap kar sada de rahi hai

Sada de rahi Sakina Tumhari
Gale mein rasan khoon kaanoN se jaari
chale aao Baba main Qurbaan Waari
Musibatzada aap li laadli hai
Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai
Sakina tadap kar sada de rahi hai

Ghame Shai mere kaam aata hai Nazmi*
Ghame zindigi jab sata hai Nazmi*
Usi dar par sar ko jhukata hai nazmi
Jahan saari duniya hamesha jhuki hai
Utho Mere Baba Zameen jal rahi hai
Sakina tadap kar sada de rahi hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *