Noha

PukariN maa aamad e saher hai, utho ab Akbar azan suna do
Bas aakhri raat khatm par hai, utho ab Akbar azan suna do

Mere jawan Laal ab to chowko, saher ka tara falak pa dekho
Yeh raat ka aakhri paher hai, utho ab Akbar azan suna do

Jo shamma bali pa jal rahi hai, tumahare gham mein pighal rahi hai
Hayaat uski bhi mujthasar hai, utho ab Akbar azan suna do

Tumahri furkat mein kar ke maatam, faza bhi roi bashat e shabnam
Tamaam shaq aasoon se tar hai, utho ab Akbar azan suna do

Namaaz padh padh ke jaane wale, haiN baithe sab sab sar katane wale
Musafiron ka dami safar hai, , utho ab Akbar azan suna do

Tumhe pata kya Chacha tumhara, tamam shab pahra de raha tha
Who runn ki khatir, kasi kamar hai, utho ab Akbar azan suna do

Tumhari aawaz jab sune ga to aakheN Asghar bhi khol de ga
Woh ghash mein mar na jaye darr hai, , utho ab Akbar azan suna do

Hussain ibne Aseem o Kausar, male Tayammum ki khaakh rukh par
Baru e Kaaba jhukaye sar hain, utho ab Akbar azan suna do

Shabeeb* tasweer e Mustafa se yeh kahti thi Maa jaga jaga ke
Thumara who muntazir Padar hai, utho ab Akbar azan suna do

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *