Noha

Udhar lakhoN ka lashkar hai idhar Sarwar akele haiN,
Nahi baqi koi nasir lardeN kyunkar akele haiN
Udhar lakhoN ka lashkar hai idhar Sarwar akele haiN,

Dua Laila yeh kartiN thiN Elahi tu madad karna,
HazaroN barchiyoN wale haiN aur Akbar akele haiN
Udhar lakhoN ka lashkar hai idhar Sarwar akele haiN,

Rabab e khasta tan ek ek se ro ro k kehti haiN,
Andheri qabr hai jangal hai aur Asghar akele haiN
Udhar lakhoN ka lashkar hai idhar Sarwar akele haiN,

Pukari’n Zainab e muztar madad ko aaiye baba,
Udu nargha kie haiN Sibt e Payghambar akele haiN
Udhar lakhoN ka lashkar hai idhar Sarwar akele haiN,

JawaN bete ki maiyyat hai sahara koun de bardh kar,
Sambhalte haiN kabhi khate haiN Sheh thokar akele haiN
Udhar lakhoN ka lashkar hai idhar Sarwar akele haiN,

(Kaha Zainab ne hinda se huye qurban sab rann mai
Hamare warisoN mai Abid-e-muztar akele haiN
Udhar lakhoN ka lashkar hai idhar Sarwar akele haiN,

Bahattar Saath Hain peshe khuda unki shafa’at ko
Nahi ye gham Mujahid* ko sar e mehshar akele haiN
Udhar lakhoN ka lashkar hai idhar Sarwar akele haiN,

Nahi baqi koi nasir lardeN qn kar akele haiN…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *