Noha

Tootay diloN ki aas haiN mere Maula Abbas
Mazloom o Bekas ki aas haiN mere Maula Abbas

Sher e Khuda ke dulare,
Shabeer aur Shabbar ke pyare
Aaqa mere Abbas, Ya Abbas!
Tootay diloN ki aas haiN mere Maula Abbas
Mazloom o Bekas ki aas haiN mere Maula Abbas

Bachche haiN khaimon meiN pyase
DetiN hain Maayen dilase
Inki bujha do pyaas, Ya Abbas!
Tootay diloN ki aas haiN mere Maula Abbas
Mazloom o Bekas ki aas haiN mere Maula Abbas

Sughra ne khat meiN yeh likkha
Abbas aaye na Bhaiiya
Karbal kya aaya raas, Ya Abbas!
Tootay diloN ki aas haiN mere Maula Abbas
Mazloom o Bekas ki aas haiN mere Maula Abbas

Chup aasman aur zameen hai
Shah ka toh koi nahiN hai
Tum ho magar Abbas, Ya Abbas!
Tootay diloN ki aas haiN mere Maula Abbas
Mazloom o Bekas ki aas haiN mere Maula Abbas

Ro ro ke Zainab pukariN
Dukhiya hooN aur gham ki maari
Aata hain yun waswaas, Ya Abbas!
Tootay diloN ki aas haiN mere Maula Abbas
Mazloom o Bekas ki aas haiN mere Maula Abbas

Teeron ki baarish ne ghera
Har simt Maula ne dekha
Koi nahin tha paas, Ya Abbas!
Tootay diloN ki aas haiN mere Maula Abbas
Mazloom o Bekas ki aas haiN mere Maula Abbas

Ro ro Sakeena pukare
Kaanon se gauhar utare
Sunte nahin Abbas, Ya Abbas!
Tootay diloN ki aas haiN mere Maula Abbas
Mazloom o Bekas ki aas haiN mere Maula Abbas

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *