Noha

Thi sada yeh Zaiab Ki Aaye Tum Nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Qatl ho gaya Bhai, Aaye kyo nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Zulmato ke deire hain, Har taraf andhere hain
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Gham ki raat hai aaye, Aaye tum nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Raat ki khamoshi hai, aur Sakeena roti hai
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Hum hai aur hai Tanhaye, Aaye tum nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Saani e Payamber ne, Baba mere Akbar ne
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Seene par sina khaye, Aaye tum nahi B aba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Dil dhadta jaaya hai, Jaise koi aata hai
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Jab Kabhi Hawa aaye, Aaye tum nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Dono haath katwa kar, soo raha hai dariya par
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Mera Sher sa Bhai, Aaye tum nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Shah ka gulezar tha, jiska naam Asghar tha
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Usko bhi qaza aaye, Aaye tum nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Rann mein halq e Sarwar par, shimr ka chala khanjar
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Kayanaat tharraye, Aaye tum nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Us nashaib tak jaa kar, laashe Shah se pe bahla kar
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Main Sakeena ko laye, Aaye tum nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Ek di ki bhiyee ka, bandh kar khul gaya kangna
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Raat aseeri ki aaye, Aaye tum nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Rann se nausha aata hai, tukde tukde laasha hai
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Khoon bhar baraat aaye, Aaye tum nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Bint e Fatima Mahir*, Deten thi sada Mahir*
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!
Har taraf hai tanhaye, Aaye tum nahi Baba
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *