Noha

Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Lahed hai ab tera hujra, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Andhera qabr mein kis tarah tujhko neend aaye gi
Na ho ga jab koi apna, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Bahelta tha sabhi ka dil Tumhari pyaari baatoN se
Rahe ga ghar mein sannata, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Khuda shahid hai teri MaaN nahin hai bewafa teri
Hai yeh sab khel qismat ka, Meri Dukhiya K huda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Bohut takleef thi tumko tamachoN ki aziyyat se
Tha uspar pyaas ka ghalba, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Sula de kaash koiye mujhko bhi tere barabat mein
Tamacha hai yeh mamta ka, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Parnde dekh kar jab tum bohut mayoos hotin thin
Who manzar tha qayamat ka, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Har eik lamha Andheron ne nibhayi dosti tumse
Ujala bewafa nikla, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Sabhi ke saath tumko bi Madine le ke main jaati
Agar bas meiN mere hota, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Giraya shimr ne paani zameeN par saamne tere
Diya tujh ko na eik qatra, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Yeh kahtiN thiN chuda le kaash koi mujko zindaaN se
Yahan mumkin nahin jeena, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Na zakhmoN ke liye tumko dawa koi mayassar thi
Na marham bhi mayassar tha, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Bhala kaise bhulaoon gi tere masoom chhe re ko
Ghute ga dil bohut mere, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Pashema thin bohut tumbhej kar Ammu ko dariya pe
Na dil se bojh yeh utra, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Luti hai chaar barsoN ki kamayi qaidkhane mein
Na poocho haal is dil ka, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Raza* har eik armaN dafn kar ke qaidkhane mein
Chali kaheti hui Mamta, Meri Dukhiya Khuda hafiz
Tha Bano ka yehi nala, Meri Dukhiya Khuda hafiz

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *