Noha

tasht’e pUrkhooN mein nazar jab Shaah ka sAr aa gaya
sAb pukaar’e lo shafaq meiN, mehr’e anwar aa gaya

Shimr se paani talab karte hi karte waqte asr
baRh ke pyaase ke gAley tak aab’e khanjar aa gaya

bahr’e khooN meiN gharq hoakar haaEy Aashoore ke din
tashna kaamoN ka safeena, nizd’e Kausar aa gaya

lEy chalEy sAr naNgEy jab, ahl’e Haram ko ashqiya
ban-key chaadar khud ghubaare dasht sAr par aa gaya

zoaf bola Aabide Beemaar kholo ghash se aaNkh
beiRiyaaN leikar qareeN jis dUm sitamgar aa gaya

ShAh ne deikha yaas ki nazron se suuey aasmaaN
halq ke nazdeek jab qaatil ka khanjar aa gaya

deikhne waalEy yeh samjhEy, hai shafaq meiN aaftaab
khoon’e farq’e Shaah jab cHehre pa bahkar aa gaya

dard Laila ke kaleije meiN utha ek daf’atan
jAb kabhi lUb par kisi ke naam’e Akbar aa gaya

zindagi jo Fikr* ki shauq’e ziyaarat meiN kati
jaaNkani ke waqt khud, Maulaaey Qambar aa gaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *