Noha

Tamaam aalam may aaj matam, Hussain bekas ka ho raha hai
Alam gharon may sajay huway hain, dilon may farsh-e-aza bicha hay
Tamaam aalam may aaj matam, Hussain bekas ka ho raha hai

Siyah kapre siyah chadar, ghamon ki gardo ghubaar sar par
Hain sogwaron kay ashk jaari, ke sani -e-Zehra be-rida hay
Tamaam aalam may aaj matam, Hussain bekas ka ho raha hai

Na chashme purnam ho kyon sawali, juloos hay zuljanah khaali
Ke mera Duldul -Sawar-Maula, zamin-e-karbal may so raha hay
Tamaam aalam may aaj matam, Hussain bekas ka ho raha hai

Alam may mashk-e-Sakina dekho, to momino bas yeh keh ke rolo
Chacha Bhatiji may kya hay nisbat, wafa -e-Abbas kya wafa hay
Tamaam aalam may aaj matam, Hussain bekas ka ho raha hai

Hussain peeri may dil sambhale, ke dil se uljhi sina nikaale
Jawaan beta lahu may dooba, zameen pe ae ri ragar raha hay
Tamaam aalam may aaj matam, Hussain bekas ka ho raha hai

Na maar barchi dil -e-nabi par, abhi huway hai jawaan Akbar
Ye qatl jisko tu kar raha hay, yehi to ham shakl -e-Mustafa hay
Tamaam aalam may aaj matam, Hussain bekas ka ho raha hai

Madinay walo khamosh rehna, ghareeb Zainab say kuch na kehna
Basa huwa ghar jo le gayi thi, wo karbala may ujad gaya hay
Tamaam aalam may aaj matam, Hussain bekas ka ho raha hai

Azaa-e-Shabbir hay ibadat, janab-e-Zainab ki hay amaanat
Ye nauha teray qalam se Mehshar*, janab-e-Zahra ki ek ataa hay
Tamaam aalam may aaj matam, Hussain bekas ka ho raha hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *