Noha

Shan hila ke maa yeh pukari
Soye bohut ab jaago Sakina
Aakhe kholo raaj dulari
Soye bohut ab jaago Sakina

Maa se bata do kaisa hai dil
Dekho utthe sare namazi
Aaj yeh halat kya hai tumhari
Soye bohut ab jaago Sakina

Bibi uttho, aakhen kholo
Dharas do, kuch mooh se bolo
Thandi hawa lo aaye hai pyaari
Soye bohut ab jaago Sakina

Kaahi padi ho khaak par chupki
Baba se milne ki zidd thi
Jaao Pita ki aaye sawari
Soye bohut ab jaago Sakina

Beti paraya ghar hai khabar hai
Gudke na tumka shimr yeh dar hai
Kahe na tadpe maa dukhiyari
Soye bohut ab jaago Sakina

Dukhiya maa ka mann na kudhayo
Darthi se uttho goad ma aao
Kaan hai zakhmi dukheN ge pyari
Soye bohut ab jaago Sakina

Kurta phata hai aao badal doon
Bibi ka chati se maiN laga loon
Rooth gayi tum kahe ko, Pyari
Soye bohut ab jaago Sakina

Mata Pita ka dhyan jo aaya
Dukhra sara mann ka sunaya
Jhuki akhyan kahe ko waari
Soye bohut ab jaago Sakina

Sangh hamara qaid me choda
Preet ka nata tumne toda
Paas pita ke pouchi sawari
Soye bohut ab jaago Sakina

ChuriyaN gadhi haiN chati ma soche
Mil gaya sukh sar Baap ka pa ke
Shakl bhulaoon kaise tumhari
Soye bohut ab jaago Sakina

PaoN na yunH phala kar leto
Uttho karo parnaam sabho ko
Bibiyan dekhan aayi hai saari
Soye bohut ab jaago Sakina

Dhool padi hai Bibi sar par
Yuh nahi soota kohu Dilbar
Kya thin pita ki tum bohut pyari
Soye bohut ab jaago Sakina

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *