Noha

Shaam ke ZindaN se aaye yeh (yeh aaye) sada, dam ghuta jata hai mera qaid
mein
Aao Ammu tumko mera waasta, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Main karooN kab tak tumhara intezaar, pyaasi aakheN har ghadi haiN
ashkbaar
Lene aao ge mujhe tum kab bhala, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Laakh apne dil ko samjhati (bahlati) hoon Mai n, par andheroN se dari jaati
hoon
Mil rahi hai mujhko yeh kaisi saza, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Karbala se shaam tak ka yeh safar, sakhtiyaN jheliN hain maine raah bhar
Aur ispar zulm yeh zindaaN ka, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Zindigi mein har ghadi thi raushni, dekhte hi dekhte shaam aa gayi
Ab andheroN se faqat hai waasta, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Kya karoon kuch aql meiN aata nahin, koi dukhiya par taras khaata nahi
Kab ruke ga zulm ka yeh silsila, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Neel chere par hain kurta khooN se tar, Main bohut royi hooN Ammu raat
bhar
Poochta koi nahi hai kya hua, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Umr choti hai bohut maiN kya karoon, aur kab tak zulm se tanha ladooN
Ho na aisa dam nikal jaye mera, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Qaidkhane meiN har eik shaam o saher, dil ko tadpati rahi yaade padar
Aaj tak toota nahi yeh silsila, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Jaane kab ho mujhko mera ghar naseeb, Main khadi hooN maut se itna
qareeb
Deejiye dharas mujhe aa kar Chacha, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Dil mein jeene ki tammanna hi nahin, meri turbat ab bane shayad yahin
Muntazir hai dil faqat ab maut ka, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Jab sitam ko sahte sahte thak chuki, Qaidkhane mein Sakina ma r gayi
Waqt e aakhir bhi Raza* nauha yeh tha, dam ghuta jata hai mera qaid mein

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *