Noha

Sab Lut Gaya Hamara Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Sajde mein sar katega, Ab Hum na aa saken ge
Qaidee bane ga kunba, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Paana khabar jo Beti, marne ki tum Hanari
Farsh-e-Aza bichana, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Insaaniyat ki basti, veeran ho chuki hai
Deti hai maut pahera, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa sa ken ge

Qasim Ka laasha rann mein, paamal kya hua hai
Dil phat gaya hamara, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Noor-e-nazar Hamara humse judaa hua hai
Har simth hai andhera, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Shaane kata ke Bhai, Dariya par soo raha hai
Hum rah gaye hain tanha, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Tooti hui kamar thi phir-bhi uthaya humne
Kadiyal jawaan ka laasha, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Hasnae ke din jab aaye, Asghar ko maut aaye
Khali hua hai jhoola, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Tukde hamare dil ke, Maqtal mein soo rahen hain
Baheta hai khoo ka dariya, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Laashon ke darmiyan Hum,Tanha khaden hain
Koi nahi hamaara, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Tanhaayion ne Humko, Qaidee bana diya hai
Bibi na dekho rastaa, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Paamaal hoga laasha, Maidaan mein Hamara
Naize par sar chadega, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Majbooriyan ko samjho, Baba ki apne beti
Aada ne Humko ghera, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Jaati huye hawaaon, Sughra se itna kahena
Ab khat na Hamko likhna, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Maqtal sa Shah ki Jafar*, Aawaz aa rahi ha i
Sughra Hamari Sughra, Ab Hum na aa saken ge
Shah ne kaha ke Sughra, Ab Hum na aa saken ge

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *