Noha

Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha
Woh ghodoN ki taapoN se paamaal hua Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Yeh maadar e Qasim ne sar peet ke farmaya
Jata hai soo e maqtal be aab o ghiza Dul ha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Kangna tha na baddhi thi pooshak purani thi
Iss shaan se maidan mein Marne ko gaya Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Chauti they na chale thay sukh gham ke hawale thay
Is tarz ka duniya ne dekha na suna Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Maqtal meiN pohuchete hi teeroN se hui daawat
Shaadi ka har eik toofha ghar le ke chala Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Sarwar ne padhe seeghe Zainab ne balaen leiN
Jab aqd ki masnad se khush ho ke utha Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Is shaan ki shaadi to dekhi na suni ab tak
Paya nahi eik qatra be-aab raha Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Sar jis ka tha naizen par aur jism tha reti par
Kubra tere qismat ko kya khoob mila Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Lo khoon ke dariya mein jaata hai nahane ko
Kubra ke muqqadar ka arman bana Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Kubra to gale mil kar baji se bohut royeN
Sughra se watan aa kar khud mil na saka Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Damaad ko seene se lipta liya Sarwar ne
Jalti hui reti par jab rann mein gira Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Kubra ko masaib ki zanjeer mile Ishrat*
Khud qaid e musibat se azaad hua Dulha
Shabbir ke haaton se jo ghar mein bana Dulha

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *