Noha

(Abbas ke Rauze par simat aaye gi duniya)
Yeh arzaq e shaami hai samhal hazrat e shamil
Ek waar, bas sar tan se juda ho ke rahe ga
Shabbir ka waada hai wafa ho ke rahe ga

Abbas ke Rauze par simat aaye gi duniya (4)
Har maangne waale ka bhala ho ke rahe ga
Shabbir ka waada hai wafa ho ke rahe ga
(Repeated thrice)

Shabbir ki pad jaayegi jis waqt nighayen (3)
Hur naam hai chota sa bada ho ke rahey ga
Shabbir ka waada hai wafa ho ke rahe ga
(Repeated twice)

Mashkiza jo bharne ke liye Sher chala hai (4)
Roka ga ise jo woh fana ho ke rahe ga
Shabbir ka waada hai wafa ho ke rahe ga
(Repeated twice)

Bigde nazar aatey hain Alamdaar ke tewar (4)
Dariya par abhi hashr bapa ho ke rahe ga
Shabbir ka waada hai wafa ho ke rahe ga
(Repeated twice)

Siffin se khamosh hai Abbas ki shamsheer (4)
Chamke gi to lashkar yeh hawa ho ke rahe ga
Shabbir ka waada hai wafa ho ke rahe ga
(Repeated twice)

Kahta hi jo Sarwar ki azaddari ko fitna (4)
Woh shaks giraftar e bala ho ke rahe ga
Shabbir ka waada hai wafa ho ke rahe ga
(Repeated twice)

Kar dein gein mujhe SALIK o MAHIR ke hi jaisa
Andaaz yeh ek roz ata ho ke rahe ga
Shabbir ka waada hai wafa ho ke rahe ga

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *