Noha

Shab chaak garebaan, sahar girya kuna hai
Maqluke Khuda maile faryaad o fughaan hai
Maa bain zameen aasman mehshar ka samaa hai
Uneesveen Ramzan ka ye haal bayan hai
Tareekh ye wo hai jo qayamat se nahi kam
Ay momino sar peeto karo girya o matam

Faarigh jo tahajud se huve woh Faatahe Khaibar
Aur sehan may aaye jyon hi hujre se nikal kar
Bas khasd kiya hi tha abhi jaane ka bahar
Hota ke ada Fajr ka wo farze muqarar
Murghabiyo ne ghair liya haq ke Wali ko
Darwaze pe jaane nahi deti thiN Ali ko

Goya huye murghabiyo se Haidar e Karrar
Is uns ki de tumko jaza Khaaliqe Ghaffar
Naale na karo sabr karo ay meri ghamkhar
Jo waqt mueyan hai wo talta nahi zinhaar
Daman ko mere chordo yun ashq na barsao
Masjid may mujhe jaane do darwaze se hatt jao

Pahunche jyon hi masjid may Ali dekha ye manzar
Aunda pada sota hai layeen ek zameen par
Jab uske qareeb pahunche to goya hue Haidar
Utt pairawe iblees. shaqi aur sitamgar
Maloom hai sab kis liye tu aaya hai Koofa
Kis kaam ke karneka yahan par hai irada

Yeh kehke azaan dene lage Khalq ke Maula
Mehraabe ibadat may hue zebe musalla
Masroof huwe itaat may apne Shah e Waala
Thi fajr ki pehli hi rakat, pehla wo sajda
Talwaar rakhab se bine muljim ne lagayi
Do para kiya sar ko jabeen tak utar aayi

Sar peet ke kehte thay namazi ke ay jallad
Kya kar diya ye Khana e haq may sitam ejaad
Ki Haq ke Wali par ye bhala kis liye bedaad
Faryad hai faryad hai faryad hai faryad
Iss shoro fughaan ko suna Hasnain ne jis dum
Masjid ko chale ghar se woh karte hue maatam

Hasnain ne aaluda ba khoon baap ko paaya
Woh bain kiye jis se ke moo ko jigar aaya
Phir ek chataai pa gharaz unko litaya
Ghamkaron ne zaqmi Shahe Safdar ko uthaya
Ghar laaye mubada kahin haalat na bigad jaye
Sar khole hue Saaniye Zahra na nikal aayeN

Daakhil hue jab ghar may Pisar Baap ko lekar
Maana lavo shevan se bapa hogaya mehshar
Thame hue thi Beti koi paun koi sar
Aahista se hujre may litaaya Unhe jaakar
Tha warde zaban wa-Aliya aaho buka may
Awaaz yahi goonjti thi arzo sama may
Tha warde zaban wa-Aliya aaho buka may
Awaaz yahi goonjti thi arzo sama may

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *