Noha

Saupa hai Khuda ko Mere Shabbir, Sidharo
Bechain Hai Firdaus meiN Hamsheer, Sidharo

Yeh jkah ke Azakhane se Jhoole ko uthaoo
Masoom mere Asghar e Besheer, Sidharo

Daawat ka bhi hum kar na sake Aapki saamaN
Kyunkar se kahen, Hazrat e Shabbir, Sidharo

Aabad makaan keejiye phir aan ke Maula
Ai Shah mere kusht e shamsheer, Sidharo

Naraaz to humse nahin phir aaoge Maula
Karte hue eik baar yeh taqreer, Sidharo

Dil khol ke roye na kiya aap ka maatam
Mehman hamare Shah e Dilgeer, Sidharo

Lene ke liye aayeN haiN Firdaus se Zaherra
Khaye hue ab halq par tum teer. Sidharo

Ham-shakl e Nabi ko yehi kah kar karo rukhsat
Laila ke pisar, Nana ki tasweer, Sidharo

Zaherra ke Dil o Jaan fida hotey hain Tumpar
Phir aane meiN karna nahin taqeer, Sidharo

Bano ne kaha haq hai nigehbaan tumhara
Naadan mere Asghar e be sheer, Sidharo

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *