Noha

Sar apna patakhti thein maujein
Darya ki rawaani roti thee
Uff tashna-dahaani Asghar ki
Khud tashna-dahaani roti thee
Sar apna patakhti thein maujein

Abbas ki bewa ek taraf
Aur baali Sakina ek taraf
Wo kahke kahani roti thein
Ye sunke sunaani roti thee
Sar apna patakhti thein maujein

Marne par kamar baandhi jis dam
Gulzaare Nabi ke nihalon ne
Tharrati thee phoolon par shabnam
Wo raat suhaani roti thee
Sar apna patakhti thein maujein

Kohraam tha barpa khemon mein
Khaati thee pachadein baade saba
Paamaliye laashe Qasim par
Phoolon ki jawaani roti thee
Sar apna patakhti thein maujein

Sajjade zaeefo zaare hazee’n
Aur bediyaan wo bhaari -bhaari
Berahmiye fauje yazeedi par
Lohey ki garaani roti thee
Sar apna patakhti thein maujein

Kuch kah nahin sakti thein munh se
Ghungat mein dam ulta jaata tha
Ek raat ki byaahi ghareeb dulhan
Be-ashkofishaani roti thee
SSar apna patakhti thein maujein

Matam ki sada aati thee Asar*
Rauze se Shahe Waala k bhi
Jab Zainab ahle Madina se
Kah-kah k kahaani roti thee
Sar apna patakhti thein maujein

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *