Noha

Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha Nahi Aaye
Andhera badhne laga hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Alam Furath se Baba ke haat bhej diya
Magar yeh majara kya hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Pade hai pyaas ki shiddat se halq mein kaaten
Magar labon pe sada hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Isi liyea to sitam aur badh gaye ham par
Yazeediyon ko pat hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Tamaam zakhm Sakeena ke dil par taaza hain
Yeh zakhm sabse hara hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Ridayen chhin gayen khaime jalaye jaate hain
Haram pe waqt pada hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Gire hain khaak pe jo intezaar ke aasoon
Un asoo’n ne likha hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Na jaane kaun si aisi khata hui mujhse
Akala chhod diya hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Kiya Sakeena se jo bhi sawaal asr ke baad
yehi jawaab diya hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Kahan yeh Shaam ka zindaan kahan who Karb o Baka
Yahan bhi dhyaan laga hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Suroor* aa gaye aakhon mein khoon ke aasoon
Yeh nauha jab bhi suna hai Chacha nahin aaye
Sakina Ki Yeh Sada Hai Chacha nahin Aaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *