Janab Yousuf Lucknowi

Sajde mein Tere Sher ne talwar khaie hai

Haider Jahan se uthte hain Gham ki fughaai hai
Yeh shor hai fiza mein, Khudaa ki duhaye hai

Allah se yeh kehti thi jannat mein Fatima
Bacche mere yateem huey, ai duhaai hai

Aata nahi hai betiyon ko maut ka yakeen
Zainab pukarti hai ke, kya neend aiye hai

Abbas ka tarapna na Zainab se poocheyea
Kahta hai bachpana yehi, pahli judai hai

Boli Hasan-Hussain se Zainab Jigar Figar
Sunti hoon mere baap ne talwar khaiye hai

Ab to tu ibne muljim-e maloon ki tegh ne
Bistar ko malaal ki soorat dikhaye hai

Ikkeswi ko uth gaya duniya ka Baadshah
Mayyat Hasan-Hussain ne kyonkar uthai hai

Gibrael lalazar hai Mohammad hain beqaraar
Sab Ambiyan ne khaak saro par udaye hai

Aye momino tumhara jo pahela Imaam tha
Usko layen ne sajde me zarbat lagaye hai

Yusuf* ka haal rahem ke kabil hai ab falak
Maula-e-do-jahan me Mushkil-kushaiye hai

Sajde nein Tere Sher ne talwar khaie hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *