Noha

Safar kaa pooch liyaa haal Jab ke Sughra ne
Guzar gayi dil e Zainab par kya Khuda jaane

Nazar me phirne laga Karbala kaa ha r manzar
Woh khooN me dooba hua lashaye Ali Akbar
Woh teer khaye hoye halkh par Ali Asghar
Guzar gayi dil e Zainab par kya Khuda jaane
Safar kaa pooch liyaa haal Jab ke Sughra ne

Alam uthaye hoye khande pe Shah sawaar chala
Woh rann ko piyasi Bhateeji ka aitbaar chala
Woh BibiyoN ki ridao kaa zimmedar chala
Guzar gayi dil e Zainab par kya Khuda jaane
Safar kaa pooch liyaa haal Jab ke Sughra ne

Kamar ko thame aasuo se aankhen tar
Alam uthaye hue neher se chale Sarwar
Woh khema gah se Bachche nikal pade bhar
Guzar gayi dil e Zainab par kya Khuda jaane
Safar kaa pooch liyaa haal Jab ke Sughra ne

Kali woh pyas ki sehera me dafn hoti hai
Woh chupke-chupke kahin zulfiqar roti hai
Aur ek Maa hai jo ashqo se muh bighoti hai
Guzar gayi dil e Zainab par kya Khuda jaane
Safar kaa pooch liyaa haal Jab ke Sughra ne

Woh aag khemo mein ahle sitam lgane lage
Nishaniye Ali Asghar ko bhi jalane lage
Be ikhtiyaar woh Abbas yaad aane lage
Guzar gayi dil e Zainab par kya Khuda jaane
Safar kaa pooch liyaa haal Jab ke Sughra ne

Jo noha shaam ke zinda kaa tha padha na gaya
Jigar ko thaam liyaa aur kuch kaha naa gaya
Phir uske baad toh Sughra se bhi suna na gaya
Guzar gayi dil e Zainab par kya Khuda jaane
Safar kaa pooch liyaa haal Jab ke Sughra ne

Rihayi paa ke jo Ahle Haram watan pahuchey
Bapa hashr saa Nayyar* bayan e Zainab se
Jo Shah ka ghar ka tha aalam rakam karu kaise
Guzar gayi dil e Zainab par kya Khuda jaane
Safar kaa pooch liyaa haal Jab ke Sughra ne

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *