Noha

Sada yeh aati thi Zahra ki, run mein haaey Hussain
Pada hai khaak pa maqtal mein sar kataaey Hussain

Tujhe laeenon ne pyasa shaheed kar daala
Diya na qatra bhi paani ka tujhko hai Hussai
Pada hai khaak pa Zahra ke qalb ka tukda
Jigar pa apne 72 ke zakhm khaaey Hussain

Faras se gir ke kiya sajdaey Khuda e Qadeer
Chala galey pa jo khanjar to muskuraaey Hussain

Ghire they narghaey aada mein iss tarah Sarwar
Talaash karti thiiN Zainab nazar na aaey Hussain

Jawaan laal ke seene se khainch li barchi
Zara bhi haath tumhaare na thartharaey Hussain

Muh apna pher ke mauje Furath ki roye
Jab apni goad me Asghar ko rann me laye Hussain

Khata mawaaf jo Hur ki Imaam ne kar di
To apne haathon se choye jari ne paye Hussain

Hazaaron mushkilen tujhpe padi, magar Parvez*
Jahan bhi tumne pukara maddad ko aaye Hussain

Sada yeh aati thi Zahra ki, run mein haaey Hussain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *