Noha

Ro ro pukariN Bali Sakeena
Ammu ghar aa jaiyea

——————————————————–

Baba jab se rann ko sidhare
Baithe hooN ghar par aas lagaye
Paani ab tak aap na laye
Itna na ab tadpayea,
Ammu ghar aa jaiyea…

——————————————————–

Akbar Bhai Rann se aao
Gham ki maari se mil jaao
Behana ko apna haal sunaao
Soorat aa ke dikhayea,
Ammu ghar aa jaiyea…

——————————————————–

Rakh hue sab khaime jal kar
Maare tamachey shimr ne aa kar
jal gaya haye yaye Bhaiyya ka bistar
Zulm se hum ko bachayea
Ammu ghar aa jaiyea…

——————————————————–

Soona jangal raat hai kaali
Kaun karega ab rakhwali
Godi Amma ki hai khaali
Asghar ko le aaiye
Ammu ghar aa jaiyea…

——————————————————–

Doob gaye sab chand aur taare
Akbar aur Asghar gaye maare
Dukhiya Maadar kisko pukaare
Zulm se sab ko bachaiye
Ammu ghar aa jaiyea…

——————————————————–

Eik Bhai bemaar pada hai
Uss par bhi ye zulmo jafa hai
Tauq-o-salaasal meiN jakda hai
Qaid se usko chudaaiye
Ammu ghar aa jaiyea…

——————————————————–

Kooch ki hoti hai tayyari
Aayi mehmil aur na amaari
Be-parda hai aal yeh saari
Raaste se sab ko hataiye
Ammu ghar aa jaiyea…

——————————————————–

Sadke mai Aal aur Quran ke
Saaye meiN is Qaumi nishaan ke
Door rahen gham saare jahan ke
Anjum* ko bhi bachaiye
Ammu ghar aa jaiyea…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *