Noha

Rabab kahtiN thiN yaad e Pisar me ro ro kar
Lagi hai aag kaleje mein aey mere Dilbar
Kahan ho aey mere tashnadahan Ali Asghar

Rabab kahtiN thiN yaad e Pisar me ro ro kar

Gaye ho pahle peher Maa se chut kar Beta
Kabhi bhi dil se tasavvur yeh mit nahiN sakta.
Akele bann me Tumhe chain aayega kyunkar
Rabab kahtiN thiN yaad e Pisar me ro ro kar

Akeli qabr mein bechain hoge jab Beta
Meri tarah se Tumhe kon loriyaaN dega
Tadap raha hai yahi saoch kar dil e Madar
Rabab kahtiN thiN yaad e Pisar me ro ro kar

Is intezar mein baithi huN darr pe zindaN ke
Tumhare aane ki shayad koi khabar dede
Bhuji ho pyaas toh aa jao mere Noor e Nazar
Rabab kahtiN thiN yaad e Pisar me ro ro kar

Na kam hua hai na kam hoga isteraab mera
Tumhe gale se laga lu toh chain aayega,
Mujhe rulane ko duniya me aaye thay Asghar
Rabab kahtiN thiN yaad e Pisar me ro ro kar

Kisi tarah se naa dil ko karaar aayega,
Tamam umr main aansu bhaongi Beta
Khuda kare na ho majbur koi yuN Madar
Rabab kahtiN thiN yaad e Pisar me ro ro kar

Har eik samnth Munawwar* hai shor o aah o buka
Har eik goshe se rone ki aa rahi thi sada
Gham e Sageer ka Allah re dilon par asar
Rabab kahtiN thiN yaad e Pisar me ro ro kar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *