Noha

Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao
Rooth kar yun bhi koi jaaata hai Akbar ghar mein aao

Dushmane deen pa ke tanha qatl kar deNge tumhe
SaikdoN zaalim liye baithe hain khanjar ghar mein aao
Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao

Shaaam ke baadal mein kya jaane kahaN tu chip gya
Fatima ke chaand Hamshakl e Payambar ghar mein aao
Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar me in aao

Tujhko ab deti hun mein Shabbir ke sar ki qasam
Chaand si surat dikha aey mere Dilbar ghar mein aao
Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao

Din to saara kat gaya ab daer aane mein na kar
Warna be-parda mai khud nikluNgi bahar ghar mein a ao
Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao

Neend tujhko is daraune ban mein kaise aayegi
Tere hujre mein bicha aayi hun bistar ghar mein aao,
Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao

Ro raheN hai daer se aur hai labon par tera naaam
Yaad karte hai tujhr Sajjad-e-muztar ghar mein aao
Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao

Sunti huN rann mein Ali ki tarah ki tegh zani
Ho chali hai shaaam aey mere Dilawar ghar mein aao
Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao

Kab se roti hai Sakina yaad karke Shah ko
Ho sake to Baap ko hamrah le kar ghar mein aao
Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao

Ab to dar raana ghuse aate hai qaimo mein laeen
Sar se maadar ke chini jaati hai chaadar ghar mein aao
Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *