Mohabbaton Ki Inteha
Hai Tujhse Ibne Syeda
Hamari Rooh Me Basa
Ajab Hai Rishta e Wafa
Hai Tera Ishq Imtehan
Nisar Tujphe Do Jahan
Kahain Zameen o Asman
Ye Tifl Peer Aur Jawan
Jab Talak Saans Chale, Ye Azadari Rahe
Gham e Hayat Ka Hai Tu Hi Nasbul Ain
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain
Jab Tak Jeeyenge Tujhpe Marenge!
Karte Rahain Ahle Aza Bus Yahi Elaan…
100 Baar Agar Zindagi Mile…100 Baar Fida Tujhpe Hoga Ya Hussain!
Jaan Fida Karne Ko Tayaar Rahenge
Majlis o Matam Ke Talabgaar Rahenge
Zehra Ke Bachon Se Wafadar Rahenge
Tu Ne Kiya Aisa Kaam! Hoga Ya Hussain
Tujhpe Durood o Salam! Hoga Ya Hussain
Teri Mohabbat Mai GIraftar Rahenge
Jab Tak Jeeyenge Tujhpe Marenge!
Karte Rahain Ahle Aza Bus Yahi Elaan…
Tere Azadar To Zehra Ki Dua Hain
Jaan Hatheli Pe Rakhe Mehwe Buka Hain
Mola Tere Naam Pe Maa Baap Fida Hain
Fakhr Se Kehte Hain Hum! Hoga Ya Hussain
Jab Bhi Sajayen Alam! Hoga Ya Hussain
Saya Figan
Jab Tak Jeeyenge Tujhpe Marenge!
Ab Ye Qadam Rok Nahi Payenge Tufaan…
Binte Nabi Aati Hain Jab Farshe Aza Par
Jaati Hain Vo Ashkan Ko Rumaal Mai Lekar
Matami Halqon Ko Dua Deti Hain Rokar
Itna Bara Martaba Hoga Ya Hussain
Ahle Aza Ko Mila Hoga Ya Hussain
Agayi Besakhta Ye Baat Zabaan Par
Jab Tak Jeeyenge Tujhpe Marenge!
Parhte Rahay Hum Bhi Aqeedat Se Ye Farmaan…
Silmun Liman Salamakum
Wa Harbun Liman Harabakum
Hum Uspe Fida Hain
Jo Tujhpe Fida Hai
Hum Uspe Fida Hain
Jo Tujhpe Fida Hai
Hum Hogaye Uske
Jo Tera Hua Hai
Tafseer e Kisa Hai
Khaliq Ne Kaha Hai
Shabbir Ka Dushman
Dushman Hi Mera Hai
Mere Syed Meri Jaan
Deen Ke Rooh e Rawan
Ye Sabhi Arzo Saman
Hain Tere Madha Sara
Humne Zamaane Ko Yahi Dars Diya Hai
Ishq Ho Gar Aale Nabi Se To Maza Hai
Hur Ki Jo Manzil Hai Aqeedat Ka Sila Hai
Kal Tha Bashr Vo Bhi Aam! Hoga Ya Hussain
Aaj Alaihisalam! Hoga Ya Hussain
Baad Shahadat Bhi Yahi Hur Ne Kaha Hai
Jab Tak Jeeyenge Tujhpe Marenge!
Poora Kiya Humne Dil e Zehra Ka Armaan…
Kaise Bhala Haq Ka Bayan Rok Sakegi
Kaise Mohabbat Ki Zabaan Rok Sakegi
Kya Tere Nauhon Ki Azaan Rok Sakegi?
Rah Me Deewaar Hain!
Tere Azadar Hain!
Dunya Tere Gham Ko Kahan Rok Sakegi
Jab Tak Jeeyenge Tujhpe Marenge!
Teri Aza Teri Wila Markaz e Eeman…
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain!
Taziya Taboot Alam Aur Amaari
Zinda Julooson Mai Hai Tehzeeb Hamari
Rah Mai Har Simt Sabeelain Bhi Hain Jaari
Jaise Bhi Halat HonLakh Sawalat Hon
Rasme Aza Hai Ye Hamay Jaan Se Pyaar
Jab Tak Jeeyenge Tujhpe Marenge!
Bus Ye Rasoomaat Shifaat Ka Hai Samaan
Qaul e Nabi Aala Sifaat
Kaisi Mukammal Hai Ye Baat
Tu Hi Hidayat Ka Charaagh
Tu Hi Safeena e Nijaat
Tu Hi Rasta, Tu Hi Manzil, Hai Tu Hi Rahnuma
Ye Croron Tere Zaire Derahe Hain Ye Sada
Arbaeen Ke Ye Manazir Barsare Karbobala
Tere Parcham Ko Uthaye Hain Sabhi Mehwebuka
Tere Sab Ashaab Mawaddat Ke Musaafir
Apna Watan Chorke Aye Teri Khaatir
Dashte Bayabaan Mai Sabhi Hogaye Haazir
Sahib e Emaan Hain! Hoga Ya Hussain
Ishq Pe Qurban Hain! Hoga Ya Hussain
Jaun Zuhair aur Habib Ibne Mazahir
Jab Tak Jeeyenge Tujhpe Marenge!
Sabke Labon Par Hai Sada Barsare Maidaan
Ek ke Baad Ek Gaye Sar Ko Kataane
Tu Ne Khareedi Jo Zameen Usko Sajaane
Jab Tu Gaya Laashon Ko Maidaan Se Uthaane
Lashon Ne Rokar Kaha! Hoga Ya Hussain
Dijiye Maula Dua! Hoga Ya Hussain
Karbobal Aye They Hum Waada Nibhaane
Jab Tak Jeeyenge Tujhpe Marenge!
Sunte Hain Lashon Ki Sada Syed e Zeeshan
Kaise Masayib Hain Suno Mesum o Mazher
Akbar o Abbas Hon Ya Qasim o Asghar
Aun o Mohammad Hon Ke Muslim Ke Do Dilbar
Sab They Ghareebul Watan Hoga Ya Hussain
Khaak Pe They Bekafan Hoga Ya Hussain
Kehta Tha Shabbir Se Har Lasha e Besar
Jab Tak Jeeyenge Tujhpe Marenge!
Maula Tere Baad Nahi Jeene Ka Arman