Noha

Qatale sarwar hai aaj va wela
Roze Mehsar hai aaj va wela

Do Jahan Mein udaasi Hai Chhai Hui
Kaisa Manzar hai aaj va wela
Qatale sarwar hai aaj va wela

Choomte the Jise mustfa vo Gala
Zere Khanjar hai aaj va wela
Qatale sarwar hai aaj va wela

Fatima Ne Kaha zalimon Mein Ghira
Mera Dilbar hai aaj va wela
Qatale sarwar hai aaj va wela

Haye Zahra Ki God ka Pala Husain
Khoon mein tar hai aaj va wela
Qatale sarwar hai aaj va wela

Us taraf teere seh Shobha aur is Taraf
Nanha Asgar hai aaj va wela
Qatale sarwar hai aaj va wela

Baap ke Budhe kandhon per hay Sitam
Lashe Akbar hai aaj va wela
Qatale sarwar hai aaj va wela

Hay gurbat yateemi ki dahleez par
Shah ki dukhtar hai aaj va wela
Qatale sarwar hai aaj va wela

Aag Zahra ke ghar mein Lagai gai
Shor ghar ghar hai aaj va wela
Qatale sarwar hai aaj va wela

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *