Noha

Qabr-e-Sarwar par kaha Zainab ne ro kar, Alwida!
Kuch khabar hai hum pa kya guzari Baradar, Alwida!

Aag khaimon mein laga di, lashkar e kuffar ne
Chhen leen Saidaniyon ke sar se chadar, Alwida!

Kunbe waale saath they, jab main watan se aaye thin
Aaj jaati hoon akeli, ghar luta kar, Alwida!

Be-khata maare Sakina ko tamachey, shimr ne
Le liye Masoom ke kaanon se gauhar, Alwida!

Neend kaisi aai hai, soya karo ge kab talak?
Lo Phupi jaati hai, uttho mere Akbar, Alwida!

Ho gayi sharte wafa par, tum na aaye Shaam mein
Taaziane maartey thay, jab sitamgar, Alwida!

Shaam ke darbaar mein, thay saat sau kursi-nasheen
Thay rasan-basta wahan, aal e Payambar, Alwida!

Thi bohut ummeed, hai Abbas sa Bhai mera
Main na jaoongi kabhi Koofa khule-sar, Alwida!

Phir nazar ki soo e naher e Alqama aur yeh kaha
Mere ghairatdaar aey Saqi e Kausar, Alwida

Yeh khalish dil se na jaaye gi, qayamat tak kabhi
Haye koofe mein gai, Zainab khule sar, Alwida!

Qabr-e-Sarwar par kaha Zainab ne ro kar, Alwida!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *