Noha

Pyaase khaimoN mein Musalsal hai fughaN, ai dariya
Tu ne Ghazi ko chhupaya hai kahan, ai dariya

Kitne hasrat se takay jateN hain Sheh ko Abbas
Jab se goonji Ali Akbar ki azaN, Ai Darita
Tu ne Ghazi ko chhupaya hai kahan, ai dariya
Pyaase khaimoN mein Musalsal hai fughaN, ai dariya

Mashk par teer jo aaya to ye mehsoos hua
Jaise seeney meiN uttar aayi sina, ai dariya
Tu ne Ghazi ko chhupaya hai kahan, ai dariya
Pyaase khaimoN mein Musalsal hai fughaN, ai dariya

Haath katne pa bhi Abbas ke tewar haiN wohi
Shah bach jayeN, chale jaye yeh jaan, ai dariya
Tu ne Ghazi ko chhupaya hai kahan, ai dariya
Pyaase khaimoN mein Musalsal hai fughaN, ai dariya

Jaane kab se dar e khaima par khade hain bachche
Sookhe hootoN pa rakkhe khushk zabaan, ai dariya
Tu ne Ghazi ko chhupaya hai kahan, ai dariya
Pyaase khaimoN mein Musalsal hai fughaN, ai dariya

Nok e naiza se utari gayi Zainab ki rida
So gaya khaak par jab sher e jawan, ai dariya
Tu ne Ghazi ko chhupaya hai kahan, ai dariya
Pyaase khaimoN mein Musalsal hai fughaN, ai dariya

Tere saahil pa kabhi Shah ke laashe pe kabhi
Roti phirti hai musalsalkoi maa, ai dariya
Tu ne Ghazi ko chhupaya hai kahan, ai dariya
Pyaase khaimoN mein Musalsal hai fughaN, ai dariya

Hai juz Shaam e Ghareeban nahiN koi Shahid*
Ro ke kheta hai yeh khaimoN ka dhuaN, ai dariya
Tu ne Ghazi ko chhupaya hai kahan, ai dariya
Pyaase khaimoN mein Musalsal hai fughaN, ai dariya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *