Salaam

Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao
Majlis-e-gham hai yahan ashk bahate jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Yaas ne maan ki tadap kar kaha thairo Akbar
Kuch tasalli dil -e-madar ko dilate jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Baap ke dil ki tamanna ne pukara Akbar
Phir azan apni meri laal sunate jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Badh ke mayoosi -e-Shabbir ne Akbar se kaha
Laal murr murr ke zara shakl dikhate jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Ladkharate huey jaate hain Hussain, Akbar tak
Ya Ali aa ke zara raah dikhate jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Lash-e-Akbar pa pahonch kar Shah-e-Bekas bole
Maa jo pooche kahoon kya yeh to batate jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Kuch wasiyat karo ai Noor e Nazar Shaan e Padar
Dil ke armaan mujhe kuch toh batate jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Kaanpte haaton pa maiyyat hai jawan bete ki
Bacchon aa aa ke zara haath batate jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Chale Abbas to Kulsoom ki dharas boli
Apne hatoon se rida Bhai udhato jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Kis jagah soate ho ai hasliyon waale mere
Dhoondne nikliN hooN aawaz sunate jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

JaaNbalab ho ke Sakeena ne naqahat se kaha
Mere Ammu mujhe paani to pilate jaao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Kuch wasiyat karo ai noor e nazar, jaan e pidar
Dil ke armaaan zara MaaN ko batate jaao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao

Yaade-e-Asghar me yeh Bano ke hai bain ai Nasir*
Kya khata maan ki hai, itna to batate jao
Pursa Zahera ko do aur roate rulate jao
Majlis-e-gham hai yahan ashk bahate jao

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *