Noha

jab vatan se Karbala meiN Shaah’e waala aa gaey
tashna lAb bachche bhi Kausar ka kanaara pa gaey
jism nooraani, tapish se, dhoop meiN kumhla gaey
baagh’e Zahra ke shajar sAb dhoop meiN kumhla gaey

phool to do din bahaare jaaNfeza dikhla gaey
hasrat unn ghunchon pa hai, jo bin khile murjha gaey

naizaey qaatil, dil’e sAdpaash’e Akbar deikhiye
laash’e Qasim aur sum’e aspaaN, muqaddar deikhiye
dasht meiN be_jaaN paRe haiN, Aun O Jaffer deikhiye
teer’e seh shoaba, baraaey halq’e Asghar deikhiye

phool to do din bahaare jaaNfeza dikhla gaey
hasrat unn ghunchon pa hai, jo bin khile murjha gaey

dukhtar’e Sarwar ne qaid’e Sham meiN, rehlat jo ki
roaey yuN Ahl’e Haram, deewaar’e zindaaN hil gai
Hazrat’e Aabid chale taaboot utha kar, jis ghaRi
be_kasi mayyat ke aage kahti jaati thi yehi

phool to do din bahaare jaaNfeza dikhla gaey
hasrat unn ghunchon pa hai, jo bin khile murjha gaey

Karbala meiN jis ghaRi Sughra ka aaya naama_bAr
naaseraan’e Shaah’e DeeN, be_jaaN paRe thEy khaak pAr
deikh kar yeh waaqeya palta jo woh khasta jigar
jaake Sughra se Madeen’e mein kaha sAr peetkAr

phool to do din bahaare jaaNfeza dikhla gaey
hasrat unn ghunchon pa hai, jo bin khile murjha gaey

qaid’e zindaaN se huey aazaad jab Zainul’aba
aur chuti bAnd’e rasan se dukhtar’e Mushkilkusha
Karbala meiN dafn, jaakar sAb shaheedoN ko kiya
dasht’e ghurbat se baraabar aa rahi thi ye sada

phool to do din bahaare jaaNfeza dikhla gaey
hasrat unn ghunchon pa hai, jo bin khile murjha gaey

dafn laashey kAr chuk’e jiswaqt Zainal AabediN
saath raaNdon ko liye pahoNche Madin’e ke qareeN
mut’tela karne gaya jisdam Basheer’e dil_hazeeN
kahte thEy aawaaz sunkar yuN Madin’e ke makeeN

phool to do din bahaare jaaNfeza dikhla gaey
hasrat unn ghunchon pa hai, jo bin khile murjha gaey

kya likhooN aey Fikr* dasht’e Karbala ke waaqeyaat
khatm ho sakta nahiN ghAm ka fasaana taa hayaat
bhooke piyaase uth gaey jis roaz se woh khush sifaat
aaj tak aawaaz deit’e haiN lAb’e shatt’e Furaat

phool to do din bahaare jaaNfeza dikhla gaey
hasrat unn ghunchon pa hai, jo bin khile murjha gaey

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *