Noha

Eik eik se bayan kartin thin yeh Fatima Sughra
Tanaha hooN Madine meiN mera dil nahin lagta
Pardes gaye hain mere Ammu, mere Bhaiyya

Aate hain mujhe bohut yaad mujhe Qasim o Akbar
Shab katti hai mushkil se toh din hota hai dubhar
Pardes gaye hain mere Ammu, mere Bhaiyya

Har waqt Sakina ka tassawur hai nazar meiN
Eik lamha bhi ab jee mera lagta nahin Ghar mein
Pardes gaye hain mere Ammu, mere Bhaiyya

Dam ghutne laga hai mera tanhayie ghar se
Ghuta hai dhuaN dil mein mere qalb o jigar se
Pardes gaye hain mere Ammu, mere Bhaiyya

Asghar ki judai ka asar dil par liya hai
Chhe maah se dekha nahin, dil doob raha hai
Pardes gaye hain mere Ammu, mere Bhai yya

Kis kis se bataoon ke meri jaan par bani hai
Darwaze par baitheN hooN, Qayamat ki ghadi hai
Pardes gaye hain mere Ammu, mere Bhaiyya

Chaayi hai Madine se Udasi ki ghatayen
Woh log nahin jo mujhe deteN thay duaeeN
Pardes gaye hain mere Ammu, mere Bhai yya

Bechainea Sughara ko rafa kya kare Ishrat*
Jis waqt yeh kahti thi bigad jaati thi haalat
Pardes gaye hain mere Ammu, mere Bhaiyya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *