Noha

Pani pani sharm se darya e sehra ho gaya
Reh gaye pyase Haram dariya pa pehra ho gaya

MushkileN Qasim ki qurbani ki aasaN ho gayi
Mil gai izane wigha jab khat wa seela ho gaya

Naara e Abbas se foujoN mai bhagdard mach gayi
Al hafeezo al amaN ka shor barpa ho gaya

Aaye jab maqtal meiN Sarwar sun ke Bhai ki sada
Dekh kar Bhai ki halat dil shikasta ho gaya

Kaanpte haathon se kheencha, Sheh ne jab, barchi ka phal
AerdiyaN Akbar ne ragrdi aur andhera ho gaya

Laash e Akbar laaey khaime mein jo Shah bachchon ke saath
Roye yuN ahle haram kohraam barpa ho gaya

Nusrate haq ko hai aaya goud maiN Shabbir ki
Baap ka besheer ko jis dam ishara ho gaya

Pher kar muh ro rahe thay sekardoN aada e diN
Hurmula ke teer ka Asghar nishana ho gaya

Kya zururat nehar karne ki thi mere laal ko
Pyas se behal khud Asghar hamara ho gaya

Jab ke qaasid ne diya Sughra ka khat Shabbir ko
Roye itna Shah e diN dil para para ho gaya

Din dhala Aashoor ka, shaam e ghareeban aa gayi
Dasht mai Zehra ka kunba, besahara ho gaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *