Noha

Nabi ki JaaN dil e Haider ka aaj Chehlum hai
Makeen e Dosh e Payamber ka aaj Chehlum hai
Ke Ibne Faatah e Khaiber ka aaj Chehlum hai
Bahaoo ashq ke Sarwar ka aaj Chehlum hai

Jhusasti reit par afsoos pyaas mein tadpa
Shaheed ho gaya maqtal meiN phool sa bachcha
Usi Hussain ke Dilbar ka aaj Chehlum hai
Bahaoo ashq ke Sarwar ka aaj Chehlum hai

Bahoo ashkoN ko aur mominoN karoo giryia
Dilao fateha aur majliseN karoo barpa
Hamare Mohsin o Yawar ka aaj Chehlum hai
Bahaoo ashq ke Sarwar ka aaj Chehlum hai

Woh jisne rah e Khuda me kata diya sar ko
Woh jisne rah e Khuda me luta diya ghar ko
Us Ibne Saaqi e Kausar ka aaj Chehlum hai
Bahaoo ashq ke Sarwar ka aaj Chehlum hai

Zameen roti hai aasoo baha raha hai falak
Libaas e gham mein pareshan sabhi hain Jinn o Malak
Yeh ro ke kahtey hain Dilbar ka aaj Chehlum hai
Bahaoo ashq ke Sarwar ka aaj Chehlum hai

Rawan hai Bachchon par afsoos zulm ke khanjar
Pachchade khatin thiN Zainab yeh dekh kar manzar
Musibaton ke samandar ka aaj Chehlum hai
Bahaoo ashq ke Sarwar ka aaj Chehlum hai

Woh jiske laash ko raunda sitam ne maqtal mein
Woh jiske Bewa bahati thi ashk jangal mein
Yateem Saani e Shabbar ka aaj Chehlum hai
Bahaoo ashq ke Sarwar ka aaj Chehlum hai

Har eik khwab baha zulm ki rawaani mein
Sina kaleje pa khayi bhari jawaani mein
Hussain ke usi Akbar ka aaj Chehlum hai
Bahaoo ashq ke Sarwar ka aaj Chehlum hai

Hai aaj shiyoN Muhammad o Aun ka Chehlum
Hussain Ibne Ali ki hai jaan ka Chehlum
Habib jaise dilawar ka aaj Chehlum hai
Bahaoo ashq ke Sarwar ka aaj Chehlum hai

Raza* Furat par apne kata ke shaanoN ko
Hayaat de gaya Ghaazi wafa ki raahon ko
Usi wafaoN ke Paiker ka aaj Chehlum hai
Bahaoo ashq ke Sarwar ka aaj Chehlum hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *