Noha

Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai
Jo khud andha hai woh kaise bataye ke raushni kya hai
Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai

Zaban katwa ke apni kar gaye ehsaan yeh Meesum
Samajhna sabse mushkil kaam tha Ishq e ali kya hai
Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai

Mohammad aur Ali dono ka jalwa eik jalwa hai
Koi kaise bataye ga Nabi kya hai Wasi kya hai
Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai

Kiya hamla, kaha Abbas ne dariya ki faujoN se
Zara thairo batate hain Jalaal e Haidery kya hai
Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai

Sar e Sahil Qayamat dekhna, kuch der guzre to
Abhi to ghaiz meiN Abbas aate Hain abhi kya hai
Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai

Mere Shabbir de do saat bete aaj rahib ko
Riza e rashk e Malik ho tumhe Moula kami kya hai
Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai

Ali ne eik Shab e Hijrat mein khud Paighambari ki hi
Ali se poocheyea, batlayeN ge Paygambari kya hai
Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai

Yeh hai dosak ka angaara woh hai Firdaus ka malik
Walid jo shaam ka hai aur Farzand e Nabi kya hai
Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai

Ali se taba qayam silsila hai Noor ka qayam
Who baraN manzilen haiN noor ki baradari kya hai
Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai

Main Mahir* kya karoonga dekh kar duniya ko nazroN se
Dar e Shabbir par baitha hua hun, ab kami kya hai
Na Poocho Dushmane Iman Se, Noor e Ali Kya Hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *