Noha

Baksh do jo khata ho Sakina hoon main
Lo gale se laga lo agar ho sake
Mujhko Baba sada do agar ho sake

Tashnagi se hain zaban me kaaten pade
Mujhko paani pila do agar ho sake
Mujhko Baba sada do agar ho sake

Jal rahi hai zameen, ab to aagosh mein
Aao aao utha lo agar ho sake
Mujhko Baba sada do agar ho sake

Dard e furgat badhe ga to mar jaaon gi
Yuh na mujhse khafa ho agar ho sake
Mujhko Baba sada do agar ho sake

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *