Noha

Muharram ki hai Cauthi dil pa taari ek naya gham hai
zameene Karbala pAr khaimaey Shaahe do_aalam hai

chali aati haiN faujeiN qatl karne Shaah’e waala ko
talaatum hai, zameen’e Karbala juNmbish meiN paihAm hai

idhar be_taabiyaaN ahle haram ki baRhti jaati haiN
udhar pyaasa lahu ka Shaah ke, hAr eik azlam hai

laeeN shadaaN haiN, waaN faujoN ki kasrat baRhti jaati hai
yahaaN tanha imame deeN haiN aur sakte ka aalam hai

shaqi, khaimoN ke paas aate haiN dauRaate huEy ghoaRe
darEy jaate haiN bachche, bibiyoN meiN shoare maatam hai

hua hai karbala meiN aapka jis roaz se aana
usi taareekh se faujoN ka nargha ShAh pa paiham hai

talab farmaaiye ab Karbala meiN Fikr* ko aaqa
ke uske dil ka rAnjo gham se ab kuch aur aalam hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *