Noha

Chhod ke turbat ghar mein aa ja
Goad mein kar araam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

Baano dukhiya karti hai nauha
Khaimey mein hai korhaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

Shaam e Gareeban pahli hui hai
Mansad e Zainab khaak bani hai
Tujhko dhoonde tere Sakina
Paani ka le kar jaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

Mat bhoolo ulfat ke qareeney
Ghutniyon chaltey aao Madine
Khat mein likh ke bheja hai Tumko
Sughra ne paighaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

Dil se tujhko kaise bhulaoon
Aakh se aasooN kyu na bahoon
Jaagte soote mere labon par
Aaye tera naam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

RootiN hooN kab se khaime ke dar par
Kisko bhejooN tere Lahed par
Ganj e Shaheeda meiN karta hai
Bhai tera aaraam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

Karbobala se Koofe Chaloongi
Shaam ki mushkil bhi jheeloongi
Jangal jangal sehra sehra
loongi tera naam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

Neend aayi hai roote roote
Chouk na padna soote soote
Dil Maak ka darta hai Beta
Jangal ki hai shaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

Jal gaye khaimey lut gaya jhoola
Aah karoon toh padta hai durra
Subha se shab tak, shab se saher tak
Rona hai mera kaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

Maa ko aa kar rukhsat kar do
Aakhon ke saagar ashkon se bhar do
Qaidi ban kar Karbobala se
Jaatey hain hum shaam, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

Mahir* hain Baano ke naale
Goad mein meri kyon nahi aatey
Raat ke sannatey mein tumko
Kaise mila aaram, Asghar
Mere Asghar aa gaye shaam

Ya Hussain e Imaam, Noor e do aine Imaam
Mohammad ke Nawasey par durood aur Salaam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *